Humne gawan diya…..
Aansuoon ki sej mein, jeevan bita diya
Apno ke intezar ne humko rula diya
Yaadon ke sahare jeena padega ab to
Desh ke veero ko humne gawan diya
Pooja ki thaal lekar baithi maa dwar par
Dil mein wahi hai aaas ayega mera laal
Simtakar apne mein kahungee prem se
na jana abki baar, sun le is budhi maa ki guhar
Ardhangini uske gumsum se raheti hai
Purani tasveeron ki chavi mann mein piroti hai
Bacche yaad karte hain pitaa ki loriyaan
Aur ghar- aangan ki wo hansi thitholiyan
Ruki hai behan ki doli bhai ke intezar mein
Rakhi bhi na bandh saki raksha ki aadh mein
Siskiyaan bharte hain pitaa bete ki yaad mein
Jee rahe hain to bas uski talaash mein
Budhape ki lathi, samjha tha jisko
Chod gaya wahi akela is jahan mein
Phoolon se saja shav, dekha jab pehele baar
Toot gayi sabki ummeedien, hua dard apaar
Beta kah gaya alvida hokar amar asar
Rah gaya to bas wo adhura pariwar
Desh par nouwchawar, ho pradon ka balidan diya
Ek sainek ne apne kartavya ka dhara dhar palan kiya
Aur phir lipatkar us tirange mein
Dharti maa ki godh mein sama gaya
Rah gayi to bas kuch adhoori/chand yaadein
Jinhe in samaj walo ne yuhi bhula diya
Aansuoon ki sej mein jeevan bita diya
Apno ke intezar ne humko rula diya
Yaadon ke sahare jeena padega ab to
Desh ke veero ko humne gawan diya…..
Tuesday, November 18, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)